Thursday, July 23, 2009

kabhi...kabhi

Kabhi Kabhi kuch likhne ka mann karta hai..
Kabhi Kabhi hanste dikhne ka mann karta hai..
****
maana muskaan ki raftaar dhire hai....
fir bhi is daud main rahne ka mann karta hai...
*********
kisne samjha kon hoon,kya hoon main....
sabko mujhe dekh hansne ka mann karta hai...
**************
sambhal ke jahaan se utha tha,kuch karne ke liye....
na jaane kiyon fir aaj,vahin girne ko mann karta hai...


Mehar Sharma

1 comment:

meenakshi said...

amazing shaayri...... likhne wale ne lavzo ko moti bana dala hai aisa lag raha tha padte hue ki yeh koi meri he ehsas hain jinhe koi phechaan gaya hai.